
ترانه و شعر با صدای Naezy
Desh ke haalat bohoti funny hain Hasne k ilaawa, Bacha nahi kuch aur Tragedy jo rahi hai, Ek ich hai cure Roke bhot dekhe, Chalo haske dekhe thoda Tujhko jab bhi mile topa Thoda muskura k dekh lona Tragedy me comedy, Tragedy me comedy Sooraj ki pehli Kiran jab nikli aasmaan se Yaha zameen pe jurm jaari kaali raat beeti Bil se bhaagi saari chiti haathi ko sataane Baat maane toh maza jo na maane lo saza Do jurmaane oh Sukh ko dhoonde dhukh mile Na kar sake, Phir kuch bhi Kyu Chain shaanti na mil sake Na jal sake diya yeh dil ka Chal safed karte kaalaapan Roshni kaha hai dil me! Kaala dhan kaha hai? bil me! Bil me saap hai Baasuri bajaake chaahte laake dega waapas Jhaake bil se aise jaise kaat lega aakar Nok waale daat hai iske Bhot kaale raaz hai chhupte Chubte kaate roz khilte Dosh daale jaane kispe Dhad sadak par Sar zameen pe Har Kisi ko ghar nahi Aadhi roti maujood hai, aadhe ki khabar nahi Insiaaniat nazar nahi, Aaazaad panchi par nahi Aawaaz kabse pal rahi, Aelaaan karde dar nahi Hasne k ilaawa, Bacha nahi kuch aur Tragedy jo rahi hai, ek ich hai cure Roke bhot dekhe, Chalo haske dekhe thoda Tujhko jab bhi mile topa Thoda muskura k dekh lona Tragedy me comedy, Tragedy me comedy Ek masla nahi yaha masle toh hazaar hai Har din naye masle yaha maslo ka bhandaar hai Maslon ko suljhaane waale pe hi atyaachaar hai Koshishien bekaar hai jhooti samachaar hai Sarakaari vaade qasme jhoote dhoke me awwaam hai Naari ghar par jaari uska apharan bhi Aam hai Gareeb bichare piste jaare, rakshak bakshak ek samaan Ab kya karega Aam Insaan
آثار دیگر از Naezy